Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Parwaz

  • Ghazal


waise to be-shumar hain qamat-kashida log


vaise to be-shumār haiñ qāmat-kashīda log
gintī huī to rah ga.e bas chīda chīda log

dastār ke husūl kā koī to ho javāz
kis zo.am meñ haiñ mubtalā ye sar-burīda log

ai kaash apnī maut hī marte to thā mazā
jaañ se guzar ga.e haiñ jo mardum-gazīda log

koī to pushtī-bān hai un kā yahīñ kahīñ
kab baiThte haiñ chain se dāman-darīda log

khīñchegī tuul kab talak mohlat milī huī
fir.aun ban ga.e haiñ tire āfrīda log

'parvāz' jin kī diid ko āñkheñ taras ga.iiñ
laa.eñ kahāñ se DhūñD ke aise chunīda log

waise to be-shumar hain qamat-kashida log
ginti hui to rah gae bas chida chida log

dastar ke husul ka koi to ho jawaz
kis zoam mein hain mubtala ye sar-burida log

ai kash apni maut hi marte to tha maza
jaan se guzar gae hain jo mardum-gazida log

koi to pushti-ban hai un ka yahin kahin
kab baiThte hain chain se daman-darida log

khinchegi tul kab talak mohlat mili hui
firaun ban gae hain tere aafrida log

'parwaz' jin ki did ko aankhen taras gain
laen kahan se DhunD ke aise chunida log


Leave a comment

+