Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Iqbal

  • Ghazal


bhul baiTha tha magar yaad bhi KHud maine kiya


bhuul baiThā thā magar yaad bhī ḳhud maiñ ne kiyā
vo mohabbat jise barbād bhī ḳhud maiñ ne kiyā

noch kar pheñk diye aap hī ḳhvāb āñkhoñ se
is dabī shaad ko nāshād bhī ḳhud maiñ ne kiyā

jaal phailā.e the jis ke liye chāroñ jānib
us giraftār ko āzād bhī ḳhud maiñ ne kiyā

kaam terā thā magar maare muravvat ke use
tujh se pahle bhī tire ba.ad bhī ḳhud maiñ ne kiyā

shahr meñ kyuuñ mirī pahchān hī baaqī na rahī
is ḳharābe ko to ābād bhī ḳhud maiñ ne kiyā

har nayā zā.iqa chhoḌā hai jo auroñ ke liye
pahle apne liye ījād bhī ḳhud maiñ ne kiyā

inkisārī meñ mirā hukm bhī jaarī thā 'zafar'
arz karte hue irshād bhī ḳhud maiñ ne kiyā

bhul baiTha tha magar yaad bhi KHud main ne kiya
wo mohabbat jise barbaad bhi KHud main ne kiya

noch kar phenk diye aap hi KHwab aankhon se
is dabi shad ko nashad bhi KHud main ne kiya

jal phailae the jis ke liye chaaron jaanib
us giraftar ko aazad bhi KHud main ne kiya

kaam tera tha magar mare murawwat ke use
tujh se pahle bhi tere baad bhi KHud main ne kiya

shahr mein kyun meri pahchan hi baqi na rahi
is KHarabe ko to aabaad bhi KHud main ne kiya

har naya zaiqa chhoDa hai jo auron ke liye
pahle apne liye ijad bhi KHud main ne kiya

inkisari mein mera hukm bhi jari tha 'zafar'
arz karte hue irshad bhi KHud main ne kiya


Source: Book : Aqleem (Pg. 45) Author : Jafar Baloch Publication : Maktaba aalia, Urdu Bazar Lahore (1986) Edition : 1986

Leave a comment

+