Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gul Afshan

  • Ghazal


ranj mein rahat kya hoti hai tum kya jaano


rañj meñ rāhat kyā hotī hai tum kyā jaano
jānāñ hasrat kyā hotī hai tum kyā jaano

ab tak mujh patthar ko tarāshā kab hai tum ne
koī mūrat kyā hotī hai tum kyā jaano

ġhusse meñ bhī ham ko chup rahnā paḌtā hai
jaan muravvat kyā hotī hai tum kyā jaano

dhyān rahe ki ham ko tumhārī aadat bhī hai
lekin aadat kyā hotī hai tum kyā jaano

saat janam ko becho phir bhī kam paḌ jaa.e
dil kī qīmat kyā hotī hai tum kyā jaano

tum kyā jaano nafrat ke paimāne kyā haiñ
aur mohabbat kyā hotī hai tum kyā jaano

chehra laal sharābī āñkheñ ho jaatī haiñ
pyaar kī rañgat kyā hotī hai tum kyā jaano

ranj mein rahat kya hoti hai tum kya jaano
jaanan hasrat kya hoti hai tum kya jaano

ab tak mujh patthar ko tarasha kab hai tum ne
koi murat kya hoti hai tum kya jaano

ghusse mein bhi hum ko chup rahna paDta hai
jaan murawwat kya hoti hai tum kya jaano

dhyan rahe ki hum ko tumhaari aadat bhi hai
lekin aadat kya hoti hai tum kya jaano

sat janam ko becho phir bhi kam paD jae
dil ki qimat kya hoti hai tum kya jaano

tum kya jaano nafrat ke paimane kya hain
aur mohabbat kya hoti hai tum kya jaano

chehra lal sharabi aankhen ho jati hain
pyar ki rangat kya hoti hai tum kya jaano


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 191) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14

Leave a comment

+