Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Moradaabadi

  • Ghazal


kya dilkashi hai anjum-o-KHurshid-o-mah mein


kyā dilkashī hai anjum-o-ḳhurshīd-o-māh meñ
aise na jaane kitne haiñ is jalva-gāh meñ

jannat ḳhayāl meñ hai na duniyā nigāh meñ
kyā lazzateñ milī haiñ ġham-e-be-panāh meñ

dil ko rahe shu.ūr jo hāl-e-tabāh meñ
me.arāj-e-zindagī hai ġham-e-be-panāh meñ

kyā jaane kyā asar thā kisī kī nigāh meñ
sau husn aa ga.e mire hāl-e-tabāh meñ

mujh se nigāh pher ke kyoñ jā rahe ho tum
merī to zindagī hai tumhārī nigāh meñ

me.ār-e-bandagī-e-bashar hī badal diyā
kuchh riñd aa ga.e the kisī ḳhānqāh meñ

rahmat ko bhī muāvin-e-ġhaflat banā diyā
yuuñ bhī koī na aa.e fareb-e-gunāh meñ

īmān aur kufr kā jhagḌā hī kho diyā
vo jab kabhī samā.e kisī kī nigāh meñ

terī nazar kī ḳhair ho kitne hī aa.ine
TuuTe hue paḌe haiñ mohabbat kī raah meñ

ham donoñ mahv-e-shauq meñ lekin ma.āl-e-shauq
un kī nigāh meñ hai na merī nigāh meñ

aise adab se dekh rahe haiñ vo aa.ina
hāzir ho jaise koī kisī bārgāh meñ

paiġhambarī razā-e-ilāhī hai varna 'kaif'
yāqūb dekh sakte the yūsuf ko chaah meñ

kya dilkashi hai anjum-o-KHurshid-o-mah mein
aise na jaane kitne hain is jalwa-gah mein

jannat KHayal mein hai na duniya nigah mein
kya lazzaten mili hain gham-e-be-panah mein

dil ko rahe shuur jo haal-e-tabah mein
mearaj-e-zindagi hai gham-e-be-panah mein

kya jaane kya asar tha kisi ki nigah mein
sau husn aa gae mere haal-e-tabah mein

mujh se nigah pher ke kyon ja rahe ho tum
meri to zindagi hai tumhaari nigah mein

mear-e-bandagi-e-bashar hi badal diya
kuchh rind aa gae the kisi KHanqah mein

rahmat ko bhi muawin-e-ghaflat bana diya
yun bhi koi na aae fareb-e-gunah mein

iman aur kufr ka jhagDa hi kho diya
wo jab kabhi samae kisi ki nigah mein

teri nazar ki KHair ho kitne hi aaine
TuTe hue paDe hain mohabbat ki rah mein

hum donon mahw-e-shauq mein lekin maal-e-shauq
un ki nigah mein hai na meri nigah mein

aise adab se dekh rahe hain wo aaina
hazir ho jaise koi kisi bargah mein

paighambari raza-e-ilahi hai warna 'kaif'
yaqub dekh sakte the yusuf ko chah mein


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 671) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+