baad marne ke koī bosa-e-ruḳhsat degā
kyā ḳhudā mujh ko bhī aisī bhalī qismat degā
zindagī hai ye miyāñ rañj-o-alam to hoñge
jo guzāregā vo lāzim hai ki qīmat degā
farzī duniyā se nikal aur haqīqat likh de
sher parvāz karegā tujhe izzat degā
dekh māyūs na ho kufr nahīñ kar pyāre
be-dilī chhoḌ ḳhudā tujh ko bhī rāhat degā
kar ga.ī umr akārat mirī haa.e haa.e
ik ġhalat-fahmī ki tū mujh ko mohabbat degā
kul milā ke hai asāsa mirā ye umr-e-ravāñ
rad nahīñ hogī duā rab mirā barakat degā
maiñ to samjhā thā mohabbat kā bulāvā hai 'umar'
kyā ḳhabar thī vo mujhe maut kī dāvat degā
baad marne ke koi bosa-e-ruKHsat dega
kya KHuda mujh ko bhi aisi bhali qismat dega
zindagi hai ye miyan ranj-o-alam to honge
jo guzarega wo lazim hai ki qimat dega
farzi duniya se nikal aur haqiqat likh de
sher parwaz karega tujhe izzat dega
dekh mayus na ho kufr nahin kar pyare
be-dili chhoD KHuda tujh ko bhi rahat dega
kar gai umr akarat meri hae hae
ek ghalat-fahmi ki tu mujh ko mohabbat dega
kul mila ke hai asasa mera ye umr-e-rawan
rad nahin hogi dua rab mera barakat dega
main to samjha tha mohabbat ka bulawa hai 'umar'
kya KHabar thi wo mujhe maut ki dawat dega
Source: Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish
Leave a comment