Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nabeel Ahmad Nabeel

  • Ghazal


kisi ko Khaar kisi sans ko babul kiya


kisī ko ḳhaar kisī saañs ko babūl kiyā
jo ham ne kār-e-mohabbat kiyā fuzūl kiyā

hamesha ḳhaak uḌaa.ī hai rāstoñ ne mirī
is intizār kī shiddat ne mujh ko dhuul kiyā

sajā ke rakh diyā kāñTā bhī mere pahlū meñ
kisī bahār ne mujh ko kabhī jo phuul kiyā

rah-e-hayāt meñ āsā.ishoñ ko Thukrā kar
tumhāre dard ko maiñ ne sadā qubūl kiyā

hamesha phūloñ ko badlā hai ḳhār-o-ḳhas meñ 'nabīl'
kisī bhī ḳhaar ko lekin kabhī na phuul kiyā

kisi ko KHar kisi sans ko babul kiya
jo hum ne kar-e-mohabbat kiya fuzul kiya

hamesha KHak uDai hai raston ne meri
is intizar ki shiddat ne mujh ko dhul kiya

saja ke rakh diya kanTa bhi mere pahlu mein
kisi bahaar ne mujh ko kabhi jo phul kiya

rah-e-hayat mein aasaishon ko Thukra kar
tumhaare dard ko main ne sada qubul kiya

hamesha phulon ko badla hai KHar-o-KHas mein 'nabil'
kisi bhi KHar ko lekin kabhi na phul kiya


Leave a comment

+