Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


rifat kabhi kisi ki gawara yahan nahin


rif.at kabhī kisī kī gavārā yahāñ nahīñ
jis sar-zamīñ ke ham haiñ vahāñ āsmāñ nahīñ

do roz ek vaz.a pe rañg-e-jahāñ nahīñ
vo kaun sā chaman hai ki jis ko ḳhizāñ nahīñ

ibrat kī jā hai lākhoñ hī tifl o javāñ nahīñ
piirī meñ bhī ḳhayāl ajal kā yahāñ nahīñ

dushman agar vo dost huā hai to kyā ajab
yaañ e'timād-e-dostī-e-jism-o-jāñ nahīñ

raftār naaz meñ ye lachak jaatī hai ki bas
goyā tirī kamar meñ sanam ustuḳhāñ nahīñ

mun.im ke shukr meñ bhī hilā.eñ kabhī kabhī
tanhā barā.e-lazzat-e-duniyā zabāñ nahīñ

pazhmurda ek hai to shagufta hai dūsrā
bāġh-e-jahāñ meñ fasl-e-bahār-o-ḳhizāñ nahīñ

jin ke suroñ par aap magas-rāañ rahe humā
un kā lahad meñ aaj koī ustuḳhāñ nahīñ

dhokā na khā zurūf-e-vazū ko tū dekh kar
masjid hai mai-farosh kī 'nāsiḳh' dukāñ nahīñ

rifat kabhi kisi ki gawara yahan nahin
jis sar-zamin ke hum hain wahan aasman nahin

do roz ek waza pe rang-e-jahan nahin
wo kaun sa chaman hai ki jis ko KHizan nahin

ibrat ki ja hai lakhon hi tifl o jawan nahin
piri mein bhi KHayal ajal ka yahan nahin

dushman agar wo dost hua hai to kya ajab
yan e'timad-e-dosti-e-jism-o-jaan nahin

raftar naz mein ye lachak jati hai ki bas
goya teri kamar mein sanam ustuKHan nahin

munim ke shukr mein bhi hilaen kabhi kabhi
tanha barae-lazzat-e-duniya zaban nahin

pazhmurda ek hai to shagufta hai dusra
bagh-e-jahan mein fasl-e-bahaar-o-KHizan nahin

jin ke suron par aap magas-raan rahe huma
un ka lahad mein aaj koi ustuKHan nahin

dhoka na kha zuruf-e-wazu ko tu dekh kar
masjid hai mai-farosh ki 'nasiKH' dukan nahin


Source: Book : Funoon (Monthly) (Pg. 553) Author : Ahmad Nadeem Qasmi Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986) Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986

Leave a comment

+