Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


ishq ki jot jagane mein baDi der lagi


ishq kī jot jagāne meñ baḌī der lagī
saa.e se dhuup banāne meñ baḌī der lagī

maiñ huuñ is shahr meñ tāḳhīr se aayā huā shaḳhs
mujh ko ik aur zamāne meñ baḌī der lagī

ye jo mujh par kisī apne kā gumāñ hotā hai
mujh ko aisā nazar aane meñ baḌī der lagī

ik sadā aa.ī jharoke se ki tum kaise ho
phir mujhe lauT ke jaane meñ baḌī der lagī

boltā huuñ to mire hoñT jhulas jaate haiñ
us ko ye baat batāne meñ baḌī der lagī

mere arse meñ koī sahl na thā kār-e-suḳhan
ek do sher kamāne meñ baḌī der lagī

maiñ sar-e-ḳhāk koī peḌ nahīñ thā 'tābish'
is liye paañv jamāne meñ baḌī der lagī

ishq ki jot jagane mein baDi der lagi
sae se dhup banane mein baDi der lagi

main hun is shahr mein taKHir se aaya hua shaKHs
mujh ko ek aur zamane mein baDi der lagi

ye jo mujh par kisi apne ka guman hota hai
mujh ko aisa nazar aane mein baDi der lagi

ek sada aai jharoke se ki tum kaise ho
phir mujhe lauT ke jaane mein baDi der lagi

bolta hun to mere honT jhulas jate hain
us ko ye baat batane mein baDi der lagi

mere arse mein koi sahl na tha kar-e-suKHan
ek do sher kamane mein baDi der lagi

main sar-e-KHak koi peD nahin tha 'tabish'
is liye panw jamane mein baDi der lagi


Leave a comment

+