Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Haleem Sabir

  • Ghazal


phir hum ko ehtiyat se chalna bhi aa gaya


phir ham ko ehtiyāt se chalnā bhī aa gayā
Thokar lagī gire to sambhalnā bhī aa gayā

sahme hue haiñ kachche makānoñ ke bām-o-dar
ab gaañv kī nadī ko ubalnā bhī aa gayā

añgḌā.ī lī chaman meñ jo fasl-e-bahār ne
sūkhe shajar ko phūlnā-phalnā bhī aa gayā

Daalā gayā jo tel to lau tez ho ga.ī
bujhte hue charāġh ko jalnā bhī aa gayā

ghar lauTe ham safar se khilaune liye hue
bachchoñ ko ab ḳhushī se uchhalnā bhī aa gayā

thī muddatoñ jo chhā.ī huī mujh pe be-hisī
dekhā tumheñ to dil ko machalnā bhī aa gayā

'sābir' mire liye the jo dushvār rāste
un rāstoñ pe ab mujhe chalnā bhī aa gayā

phir hum ko ehtiyat se chalna bhi aa gaya
Thokar lagi gire to sambhalna bhi aa gaya

sahme hue hain kachche makanon ke baam-o-dar
ab ganw ki nadi ko ubalna bhi aa gaya

angDai li chaman mein jo fasl-e-bahaar ne
sukhe shajar ko phulna-phalna bhi aa gaya

Dala gaya jo tel to lau tez ho gai
bujhte hue charagh ko jalna bhi aa gaya

ghar lauTe hum safar se khilaune liye hue
bachchon ko ab KHushi se uchhalna bhi aa gaya

thi muddaton jo chhai hui mujh pe be-hisi
dekha tumhein to dil ko machalna bhi aa gaya

'sabir' mere liye the jo dushwar raste
un raston pe ab mujhe chalna bhi aa gaya


Leave a comment

+