Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dattatriya Kaifi

  • Ghazal


yun sisakta mujhe tum chhoD na jao aao


yuuñ sisaktā mujhe tum chhoḌ na jaao aao
āḳhirī vaqt hai ai jān-e-man aao aao

sohbat-e-lutf meñ lo naam na ġhairoñ kā kabhī
dil meñ āshiq ke na tum aag lagāo aao

be-bane hī bahutoñ ko hai bigāḌā is ne
apnī kākul ko bahut ab na banāo aao

pī bhī lo rahne do kausar kī kahānī zāhid
aisī be-par kī na yāroñ se uḌaao aao

'kaifī' chhoḌo bhī kahīñ kū-e-butāñ kī ye dhun
chain ārām dil-o-dīñ na gañvāo aao

yun sisakta mujhe tum chhoD na jao aao
aaKHiri waqt hai ai jaan-e-man aao aao

sohbat-e-lutf mein lo nam na ghairon ka kabhi
dil mein aashiq ke na tum aag lagao aao

be-bane hi bahuton ko hai bigaDa is ne
apni kakul ko bahut ab na banao aao

pi bhi lo rahne do kausar ki kahani zahid
aisi be-par ki na yaron se uDao aao

'kaifi' chhoDo bhi kahin ku-e-butan ki ye dhun
chain aaram dil-o-din na ganwao aao


Leave a comment

+