Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahangeer nayab

  • Ghazal


is tarah kho gaya hun main apne wajud main


is tarah kho gayā huuñ maiñ apne vajūd maiñ
ab ḳhud ko DhūñDtā huuñ maiñ apne vajūd meñ

aadat sī paḌ ga.ī hai jo tanqīs kī mujhe
kiiḌe nikāltā huuñ maiñ apne vajūd meñ

kuchh is tarah se Dhaa.e haiñ hālāt ne sitam
gum ho ke rah gayā huuñ maiñ apne vajūd meñ

tum to mire vajūd kā hissa na the kabhī
kyoñ tum ko DhūñDhtā huuñ maiñ apne vajūd meñ

qaa.em hai mujh meñ mere taḳhayyul kī saltanat
be-tāj bādshā huuñ maiñ apne vajūd meñ

mujh par mire vajūd kā har naqs hai ayaañ
ḳhud ek aa.ina huuñ maiñ apne vajūd meñ

'nāyāb' inqilāb-e-zamāna kī hai dalīl
badlāv dekhtā huuñ maiñ apne vajūd meñ

is tarah kho gaya hun main apne wajud main
ab KHud ko DhunDta hun main apne wajud mein

aadat si paD gai hai jo tanqis ki mujhe
kiDe nikalta hun main apne wajud mein

kuchh is tarah se Dhae hain haalat ne sitam
gum ho ke rah gaya hun main apne wajud mein

tum to mere wajud ka hissa na the kabhi
kyon tum ko DhunDhta hun main apne wajud mein

qaem hai mujh mein mere taKHayyul ki saltanat
be-taj baadsha hun main apne wajud mein

mujh par mere wajud ka har naqs hai ayan
KHud ek aaina hun main apne wajud mein

'nayab' inqilab-e-zamana ki hai dalil
badlaw dekhta hun main apne wajud mein


Source: Book : Mohabbat Rasty me.n hai (Pg. 149) Author : Wajih Sani Publication : Samiya Publication (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+