Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanweer Gauhar

  • Ghazal


dariya mein tughyani hai


dariyā meñ tuġhyānī hai
bastī bastī paanī hai

aah ki jañgal haiñ ābād
shahroñ meñ vīrānī hai

mushkil se ab kyā Darnā
is meñ hī āsānī hai

duniyā kī kyā chaah kareñ
duniyā ānī-jānī hai

us ko to pachhtānā hai
jis ne dil kī maanī hai

maiñ bhī man kā raajā huuñ
vo bhī dil kī raanī hai

ai dil us ko bhuul bhī jā
ye kaisī man-mānī hai

maut se 'gauhar' Darnā kyā
maut to ik din aanī hai

dariya mein tughyani hai
basti basti pani hai

aah ki jangal hain aabaad
shahron mein virani hai

mushkil se ab kya Darna
is mein hi aasani hai

duniya ki kya chah karen
duniya aani-jaani hai

us ko to pachhtana hai
jis ne dil ki mani hai

main bhi man ka raja hun
wo bhi dil ki rani hai

ai dil us ko bhul bhi ja
ye kaisi man-mani hai

maut se 'gauhar' Darna kya
maut to ek din aani hai


Leave a comment

+