Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kanti Mohan Soz

  • Ghazal


humse kis ka kaam banega koi kya le jaega


ham se kis kā kaam banegā koī kyā le jā.egā
apnā chhappar phūñkne vaalā paas hamāre aa.egā

ham haiñ nigoḌe ham haiñ bhagoḌe ham haiñ nikamme ham kāhil
jis dam mahfil rañg pe hogī ham se rahā na jā.egā

ġhuncha ġhuncha zahr-ālūda buuTā buuTā sāġhar-e-sam
is gulshan meñ ishq kā naġhma chheḌ to maanā jā.egā

vaa.e qayāmat sar hai salāmat suune paḌe haiñ dār-o-rasan
ham ko bāġhī kaun kahegā rahbar kaun bānegā

'soz' hamāre ba.ad jahāñ ko yaad hamārī aa.egī
ḳhasta diloñ kī āh-o-bukā ko bijlī kaun bānegā

hum se kis ka kaam banega koi kya le jaega
apna chhappar phunkne wala pas hamare aaega

hum hain nigoDe hum hain bhagoDe hum hain nikamme hum kahil
jis dam mahfil rang pe hogi hum se raha na jaega

ghuncha ghuncha zahr-aluda buTa buTa saghar-e-sam
is gulshan mein ishq ka naghma chheD to mana jaega

wae qayamat sar hai salamat sune paDe hain dar-o-rasan
hum ko baghi kaun kahega rahbar kaun banega

'soz' hamare baad jahan ko yaad hamari aaegi
KHasta dilon ki aah-o-buka ko bijli kaun banega


Leave a comment

+