zamīn par na rahe āsmāñ ko chhoḌ diyā
tumhāre ba.ad zamān o makāñ ko chhoḌ diyā
tabāh kar gayā ik lamha-e-ḳharāb mujhe
ki maiñ ne halqa-e-āvārgāñ ko chhoḌ diyā
kahīñ panāh nahīñ miltī lamha bhar ke liye
ki jab se mahfil-e-dil-dādgāñ ko chhoḌ diyā
bas ek kunj-e-ḳhas-o-ḳhāk meñ sukūn milā
so maiñ ne halqa-e-sayyārgāñ ko chhoḌ diyā
tumhāre ba.ad guzishta rahā na haal rahā
so dil ne ḳhadsha-e-ā.indagāñ ko chhoḌ diyā
zamin par na rahe aasman ko chhoD diya
tumhaare baad zaman o makan ko chhoD diya
tabah kar gaya ek lamha-e-KHarab mujhe
ki main ne halqa-e-awargan ko chhoD diya
kahin panah nahin milti lamha bhar ke liye
ki jab se mahfil-e-dil-dadgan ko chhoD diya
bas ek kunj-e-KHas-o-KHak mein sukun mila
so main ne halqa-e-sayyargan ko chhoD diya
tumhaare baad guzishta raha na haal raha
so dil ne KHadsha-e-aindagan ko chhoD diya
Leave a comment