Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nabeel Ahmad Nabeel

  • Ghazal


aankhon ke iztirab se aise jhaDe hain KHwab


āñkhoñ ke iztirāb se aise jhaḌe haiñ ḳhvāb
shab ke shajar pe niiñd kī sūrat paḌe haiñ ḳhvāb

aatī nahīñ hai niiñd mujhe is liye bhī dost
āñkhoñ kī putliyoñ meñ hazāroñ jhaḌe haiñ ḳhvāb

niklā na phir bhī koī natīja bahār kā
ta.abīr se agarche bahut hī laḌe haiñ ḳhvāb

jab bhī chalā huuñ niiñd ke raste pe yuuñ lagā
hāthoñ ko joḌ kar mire aage khaḌe haiñ ḳhvāb

dil se ġhamoñ kā is liye chhālā na jā sakā
kāñToñ kī misl chashm-e-talab meñ aḌe haiñ ḳhvāb

tujh ko kahāñ ḳhabar hai ki kaise haiñ ratjage
tujh ko kahāñ ḳhabar hai ki kitne kaḌe haiñ ḳhvāb

is baar bhī yahāñ ḳhas-o-ḳhāshāk kī tarah
āñkhoñ meñ jis qadar the vo saare saḌe haiñ ḳhvāb

aayā nahīñ 'nabīl' palaT ke vo ek shaḳhs
ranjīda is liye bhī hamāre baḌe haiñ ḳhvāb

aankhon ke iztirab se aise jhaDe hain KHwab
shab ke shajar pe nind ki surat paDe hain KHwab

aati nahin hai nind mujhe is liye bhi dost
aankhon ki putliyon mein hazaron jhaDe hain KHwab

nikla na phir bhi koi natija bahaar ka
tabir se agarche bahut hi laDe hain KHwab

jab bhi chala hun nind ke raste pe yun laga
hathon ko joD kar mere aage khaDe hain KHwab

dil se ghamon ka is liye chhaala na ja saka
kanTon ki misl chashm-e-talab mein aDe hain KHwab

tujh ko kahan KHabar hai ki kaise hain ratjage
tujh ko kahan KHabar hai ki kitne kaDe hain KHwab

is bar bhi yahan KHas-o-KHashak ki tarah
aankhon mein jis qadar the wo sare saDe hain KHwab

aaya nahin 'nabil' palaT ke wo ek shaKHs
ranjida is liye bhi hamare baDe hain KHwab


Leave a comment

+