vo ḳhvāb ḳhvāb fazā-e-tarab nahīñ aa.ī
ajiib hī thī vo shab phir vo shab nahīñ aa.ī
jo jism o jaañ se chalī jism o jaañ talak pahuñchī
vo mauj-e-garmi-e-ruḳhsār-o-lab nahīñ aa.ī
to phir charāġh the ham be-charāġh rātoñ ke
palaT ke guzrī huī raat jab nahīñ aa.ī
ajab the harf kī lazzat meñ jalne vaale log
ki ḳhaak ho ga.e ḳhu-e-adab nahīñ aa.ī
jo abr ban ke barastī hai rūh-e-vīrāñ par
bahut dinoñ se vo āvāz-e-rab nahīñ aa.ī
sadā lagā.eñ aur apnā mazāq uḌvā.eñ
ye ahl-e-dard pe uftād kab nahīñ aa.ī
kiyā hai apne hī qadmoñ ne pā.emāl bahut
ye ham meñ kaj-kalhī be-sabab nahīñ aa.ī
wo KHwab KHwab faza-e-tarab nahin aai
ajib hi thi wo shab phir wo shab nahin aai
jo jism o jaan se chali jism o jaan talak pahunchi
wo mauj-e-garmi-e-ruKHsar-o-lab nahin aai
to phir charagh the hum be-charagh raaton ke
palaT ke guzri hui raat jab nahin aai
ajab the harf ki lazzat mein jalne wale log
ki KHak ho gae KHu-e-adab nahin aai
jo abr ban ke barasti hai ruh-e-viran par
bahut dinon se wo aawaz-e-rab nahin aai
sada lagaen aur apna mazaq uDwaen
ye ahl-e-dard pe uftad kab nahin aai
kiya hai apne hi qadmon ne paemal bahut
ye hum mein kaj-kalhi be-sabab nahin aai
Source: Book : Mahr-e-Do neem (Pg. 13) Author : iftikhaar aarif
Leave a comment