Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faizan Arif

  • Ghazal


haal-e-dil sirf tumhein humne sunane ke liye


hāl-e-dil sirf tumheñ ham ne sunāne ke liye
kitne alfāz likhe saare zamāne ke liye

khol rakkhe haiñ darīche isī ummīd ke saath
lauT aa.egī havā diip jalāne ke liye

us kā milnā hī muqaddar meñ nahīñ thā varna
ham ne kyā kuchh nahīñ khoyā use paane ke liye

jaane kab aa.egā vo merī mohabbat kā safīr
mere har ḳhvāb kī ta.abīr batāne ke liye

āñdhiyāñ barsar-e-paikār nazar aatī haiñ
merī ḳhvāhish ke charāġhoñ ko bujhāne ke liye

phuul se log baḌī duur se aa.e 'faizān'
taaj kāñToñ kā mire sar pe sajāne ke liye

haal-e-dil sirf tumhein hum ne sunane ke liye
kitne alfaz likhe sare zamane ke liye

khol rakkhe hain dariche isi ummid ke sath
lauT aaegi hawa dip jalane ke liye

us ka milna hi muqaddar mein nahin tha warna
hum ne kya kuchh nahin khoya use pane ke liye

jaane kab aaega wo meri mohabbat ka safir
mere har KHwab ki tabir batane ke liye

aandhiyan barsar-e-paikar nazar aati hain
meri KHwahish ke charaghon ko bujhane ke liye

phul se log baDi dur se aae 'faizan'
taj kanTon ka mere sar pe sajaane ke liye


Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 63)

Leave a comment

+