ek dam us ne judā kī na naqāb-e-āriz
na huā duur shab-e-vasl hijāb-e-āriz
kis pe barham haiñ butoñ kā jo banā hai chehrā
kis pe lā.egā ġhazab aaj itāb-e-āriz
lāla-o-gul haiñ zamīñ par to falak par mah-o-mehr
lekin in meñ se nahīñ koī javāb-e-āriz
dekh kar jalva-e-ruḳhsār huā maiñ behosh
tez kis darja thī allāh sharāb-e-āriz
sho.ala-e-tūr gul-e-tar mah-o-ḳhurshīd-e-falak
āshiqoñ meñ tire kyā kyā haiñ ḳhitāb-e-āriz
na diyā mus.haf-e-ruḳhsār kā bosa ham ko
us ne kholī na shab-e-vasl kitāb-e-āriz
ek dam us ne juda ki na naqab-e-ariz
na hua dur shab-e-wasl hijab-e-ariz
kis pe barham hain buton ka jo bana hai chehra
kis pe laega ghazab aaj itab-e-ariz
lala-o-gul hain zamin par to falak par mah-o-mehr
lekin in mein se nahin koi jawab-e-ariz
dekh kar jalwa-e-ruKHsar hua main behosh
tez kis darja thi allah sharab-e-ariz
shoala-e-tur gul-e-tar mah-o-KHurshid-e-falak
aashiqon mein tere kya kya hain KHitab-e-ariz
na diya mushaf-e-ruKHsar ka bosa hum ko
us ne kholi na shab-e-wasl kitab-e-ariz
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment