dariyā thā mauj ġham thī safīna koī na thā
tārīk rāste the ujālā koī na thā
phir bhī tumhāre shahr ne rakkhā mirā ḳhayāl
hālāñki merā chāhne vaalā koī na thā
palkoñ pe sab kī bojh hai ik ehtiyāt kā
kal raat mere gaañv meñ soyā koī na thā
sab log chal rahe the saḌak par milā ke haath
dekhā jo ġhaur se to kisī kā koī na thā
māyūs kar diyā thā kisī ke fareb ne
bujhtī huī nigāh meñ chehra koī na thā
andar se ho chuke the bahut muzmahil se log
bāhar se dekhne ko to TuuTā koī na thā
dastak huī thī pahle sī mere makān meñ
bāhar nikal ke aaj bhī dekhā koī na thā
dariya tha mauj gham thi safina koi na tha
tarik raste the ujala koi na tha
phir bhi tumhaare shahr ne rakkha mera KHayal
haalanki mera chahne wala koi na tha
palkon pe sab ki bojh hai ek ehtiyat ka
kal raat mere ganw mein soya koi na tha
sab log chal rahe the saDak par mila ke hath
dekha jo ghaur se to kisi ka koi na tha
mayus kar diya tha kisi ke fareb ne
bujhti hui nigah mein chehra koi na tha
andar se ho chuke the bahut muzmahil se log
bahar se dekhne ko to TuTa koi na tha
dastak hui thi pahle si mere makan mein
bahar nikal ke aaj bhi dekha koi na tha
Leave a comment