ḳhizr jaisā hai rāhbar mujh meñ
mujh ko darpesh hai safar mujh meñ
kashtī-o-nā-ḳhudā bahut ḳhatre
ka.ī tūfāñ ka.ī bhañvar mujh meñ
ḳhuun se tar-ba-tar galī-kūche
dast-e-qātil hai zor par mujh meñ
koī tesha-ba-dast phirtā hai
qarya qarya hai bas sharar mujh meñ
jis tarah se hiran pahāḌoñ par
lauT kar aatā hai hunar mujh meñ
KHizr jaisa hai rahbar mujh mein
mujh ko darpesh hai safar mujh mein
kashti-o-na-KHuda bahut KHatre
kai tufan kai bhanwar mujh mein
KHun se tar-ba-tar gali-kuche
dast-e-qatil hai zor par mujh mein
koi tesha-ba-dast phirta hai
qarya qarya hai bas sharar mujh mein
jis tarah se hiran pahaDon par
lauT kar aata hai hunar mujh mein
Leave a comment