rābta kyuuñ rakhūñ maiñ dariyā se
pyaas bujhtī hai merī sahrā se
hai masā.il se ab vahī uljhā
rishta joḌā hai jis ne duniyā se
ḳhushiyāñ imroz kī vo paatā hai
jo ki ġhāfil nahīñ hai fardā se
jis ko hāsil thiiñ ne.amateñ saarī
ab hai mahrūm āb-o-dāna se
hai ḳhudā kī nazar meñ aalī vahī
ḳhush-dilī se jo miltā adnā se
thī jise saaqī se 'zafar' nisbat
tishna lauTā vo bāda-ḳhāna se
rabta kyun rakhun main dariya se
pyas bujhti hai meri sahra se
hai masail se ab wahi uljha
rishta joDa hai jis ne duniya se
KHushiyan imroz ki wo pata hai
jo ki ghafil nahin hai farda se
jis ko hasil thin neamaten sari
ab hai mahrum aab-o-dana se
hai KHuda ki nazar mein aali wahi
KHush-dili se jo milta adna se
thi jise saqi se 'zafar' nisbat
tishna lauTa wo baada-KHana se
Source: Book : Ehsas ki Hijrat (Gazal Collection) (Pg. 25) Author : Zafar Imam Publication : Asri Sang-e-meel Publications, Patna (2008) Edition : 2008
Leave a comment