Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nafas Ambalvi

  • Ghazal


yun to KHud apne hi sae se bhi Dar jate hain log


yuuñ to ḳhud apne hī saa.e se bhī Dar jaate haiñ log
hādse kaise bhī hoñ lekin guzar jaate haiñ log

jab mujhe dushvāriyoñ se rū-ba-rū honā paḌā
tab maiñ samjhā reza reza kyuuñ bikhar jaate haiñ log

sirf ġhāza hī nahīñ chehroñ kī ra.anā.ī kā raaz
shiddat-e-ġham kī tapish se bhī nikhar jaate haiñ log

mas.ale aa kar lipaT jaate haiñ bachchoñ kī tarah
shaam ko jab lauT kar daftar se ghar jaate haiñ log

har 'nafas' mar mar ke jiite haiñ tujhe ai zindagī
aur jiine kī tamannā meñ hī mar jaate haiñ log

yun to KHud apne hi sae se bhi Dar jate hain log
hadse kaise bhi hon lekin guzar jate hain log

jab mujhe dushwariyon se ru-ba-ru hona paDa
tab main samjha reza reza kyun bikhar jate hain log

sirf ghaza hi nahin chehron ki ranai ka raaz
shiddat-e-gham ki tapish se bhi nikhar jate hain log

masale aa kar lipaT jate hain bachchon ki tarah
sham ko jab lauT kar daftar se ghar jate hain log

har 'nafas' mar mar ke jite hain tujhe ai zindagi
aur jine ki tamanna mein hi mar jate hain log


Source: Book : sheerazah (Pg. 113) Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973) Edition : 1973

Leave a comment

+