Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Yusuf

  • Ghazal


aadmi apni zat mein tanha


aadmī apnī zaat meñ tanhā
ālam-e-shash-jihāt meñ tanhā

ai ḳhudā tū hī be-misāl nahīñ
maiñ bhī huuñ kā.enāt meñ tanhā

mujh ko har ek baat kā ġham hai
maiñ huuñ har ek baat meñ tanhā

maut ke dasht-e-be-kanār meñ gum
shahr ke hādsāt meñ tanhā

mujh ko kis jurm meñ utaar diyā
kār-zār-e-hayāt meñ tanhā

be-amāñ dushmanoñ kī zad meñ huuñ
dahr ke somnāt meñ tanhā

āp-apnī talāsh hai mujh ko
huuñ ajab mushkilāt meñ tanhā

aadmi apni zat mein tanha
aalam-e-shash-jihat mein tanha

ai KHuda tu hi be-misal nahin
main bhi hun kaenat mein tanha

mujh ko har ek baat ka gham hai
main hun har ek baat mein tanha

maut ke dasht-e-be-kanar mein gum
shahr ke hadsat mein tanha

mujh ko kis jurm mein utar diya
kar-zar-e-hayat mein tanha

be-aman dushmanon ki zad mein hun
dahr ke somnat mein tanha

aap-apni talash hai mujh ko
hun ajab mushkilat mein tanha


Source: Deewan-e-Daud Aurangabadi

Leave a comment

+