Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aasi Ghazipuri

  • Ghazal


hazaron ki jaan le chuka hai ye chehra zer-e-naqab ho kar


hazāroñ kī jaan le chukā hai ye chehra zer-e-naqāb ho kar
magar qayāmat karoge barpā jo nikaloge be-hijāb ho kar

shanāḳht us kī ho sahl kyūñ-kar ki jab na tab bhes ik nayā ho
vo din ko ḳhurshīd ho ke nikle to raat ko māhtāb ho kar

maiñ dil se us shaiḳh kā huuñ qaa.il ki mai-kade meñ paḌhe tahajjud
lagā.e masjid meñ na.are hū-haq ke mahv-e-daur-e-sharāb ho kar

firāq meñ is qadar taraddud abhī tumheñ kuchh ḳhabar nahīñ hai
baḌhegī kuchh aur be-qarārī visāl meñ kāmyāb ho kar

na kar tū itnī mazammat is kī bahisht kī chiiz hai ye vaa.iz
ye balki hai josh-e-bahr-e-rahmat agarche aayā sharāb ho kar

vo thā badan yā koī gul-e-tar phir us kī ḳhushbū vo rūh-parvar
jidhar se guzre basā vo rasta bahā pasīna gulāb ho kar

janāb-e-'nāsiḳh' kī ye hidāyat hai yaad rakhnā tum is ko 'āsī'
ġhazal meñ aise hoñ sher jin meñ kamī na ho intiḳhāb ho kar

hazaron ki jaan le chuka hai ye chehra zer-e-naqab ho kar
magar qayamat karoge barpa jo nikaloge be-hijab ho kar

shanaKHt us ki ho sahl kyun-kar ki jab na tab bhes ek naya ho
wo din ko KHurshid ho ke nikle to raat ko mahtab ho kar

main dil se us shaiKH ka hun qail ki mai-kade mein paDhe tahajjud
lagae masjid mein nare hu-haq ke mahw-e-daur-e-sharab ho kar

firaq mein is qadar taraddud abhi tumhein kuchh KHabar nahin hai
baDhegi kuchh aur be-qarari visal mein kaamyab ho kar

na kar tu itni mazammat is ki bahisht ki chiz hai ye waiz
ye balki hai josh-e-bahr-e-rahmat agarche aaya sharab ho kar

wo tha badan ya koi gul-e-tar phir us ki KHushbu wo ruh-parwar
jidhar se guzre basa wo rasta baha pasina gulab ho kar

janab-e-'nasiKH' ki ye hidayat hai yaad rakhna tum is ko 'asi'
ghazal mein aise hon sher jin mein kami na ho intiKHab ho kar


Leave a comment

+