Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Murtaza Rahi

  • Ghazal


maujudgi ka uski asar hone laga hai


maujūdgī kā us kī asar hone lagā hai
sab us ke sivā mahv-e-nazar hone lagā hai

atrāf mire ḳhaak uḌā kartī hai aksar
tai ab mirī jānib bhī safar hone lagā hai

purkhoñ se chalī aatī hai ye naql-e-makānī
ab mujh se bhī ḳhālī mirā ghar hone lagā hai

jaldī se maiñ ab us kī taraf ruḳh nahīñ kartā
ā.īna mirā sīna-sipar hone lagā hai

tartīb anāsir kī bigaḌne lagī shāyad
aalam mirā ab zer-o-zabar hone lagā hai

ab sañg-dilī mujh se chhupā.e nahīñ chhuptī
āñkhoñ se numūdār sharar hone lagā hai

arsa koī darkār huā kartā thā 'rāhī'
ab roz koī mārka sar hone lagā hai

maujudgi ka us ki asar hone laga hai
sab us ke siwa mahw-e-nazar hone laga hai

atraf mere KHak uDa karti hai aksar
tai ab meri jaanib bhi safar hone laga hai

purkhon se chali aati hai ye naql-e-makani
ab mujh se bhi KHali mera ghar hone laga hai

jaldi se main ab us ki taraf ruKH nahin karta
aaina mera sina-sipar hone laga hai

tartib anasir ki bigaDne lagi shayad
aalam mera ab zer-o-zabar hone laga hai

ab sang-dili mujh se chhupae nahin chhupti
aankhon se numudar sharar hone laga hai

arsa koi darkar hua karta tha 'rahi'
ab roz koi marka sar hone laga hai


Leave a comment

+