Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidullah Khan Mubtala

  • Ghazal


ai jawanan nau-bahaaran mein qadah-noshi karo


ai javānāñ nau-bahārāñ meñ qadah-noshī karo
gul-badan saaqī setī har shab ham-āġhoshī karo

dostī kī rah meñ dil kuuñ sard karnā ḳhuub na.iiñ
dam-ba-dam ḳhurshīd-rūyāñ siiñ garam-joshī karo

mudda.ā gar hai zuhūr-e-qurb apnā ḳhalq par
anjuman meñ barmalā ḳhūbāñ se sargoshī karo

mah-ruḳhāñ ke dekhne kā hai agar dil muuñ talāsh
āsmāñ saañ iḳhtiyār-e-ḳhāna-bardoshī karo
ahl-e-ma.anī meñ agar dāḳhil hone kā shauq hai
harf-e-be-ma.anī satī har vaqt ḳhāmoshī karo

ai jawanan nau-bahaaran mein qadah-noshi karo
gul-badan saqi seti har shab ham-aghoshi karo

dosti ki rah mein dil kun sard karna KHub nain
dam-ba-dam KHurshid-ruyan sin garam-joshi karo

muddaa gar hai zuhur-e-qurb apna KHalq par
anjuman mein barmala KHuban se sargoshi karo

mah-ruKHan ke dekhne ka hai agar dil mun talash
aasman san iKHtiyar-e-KHana-bardoshi karo
ahl-e-mani mein agar daKHil hone ka shauq hai
harf-e-be-mani sati har waqt KHamoshi karo


Volume-001"

Leave a comment

+