Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fakhr Abbas

  • Ghazal


bijli si ek aur gira di zalim ne


bijlī sī ik aur girā dī zālim ne
zabt kī saarī khep jalā dī zālim ne

pahlī se maiñ jaan chhuḌātā phirtā thā
aaj na.ī tasvīr lagā dī zālim ne

dil āñkhoñ ke saath hī bāhar aayā hai
itnī is kī pyaas baḌhā dī zālim ne

dupaTTe kā parda bhī nahīñ rakkhā aaj
pābandī ik aur uThā dī zālim ne

us ke aage baat bhī karnā mushkil hai
hoñToñ par bhī mohr lagā dī zālim ne

ishq meñ aisī choT lagā.ī siine par
ġhazloñ kī takmīl karā dī zālim ne

bijli si ek aur gira di zalim ne
zabt ki sari khep jala di zalim ne

pahli se main jaan chhuData phirta tha
aaj nai taswir laga di zalim ne

dil aankhon ke sath hi bahar aaya hai
itni is ki pyas baDha di zalim ne

dupaTTe ka parda bhi nahin rakkha aaj
pabandi ek aur uTha di zalim ne

us ke aage baat bhi karna mushkil hai
honTon par bhi mohr laga di zalim ne

ishq mein aisi choT lagai sine par
ghazlon ki takmil kara di zalim ne


Source: Lahoo Rang

Leave a comment

+