Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


zindagi be-qarar lagti hai


zindagī be-qarār lagtī hai
dard kī ābshār lagtī hai

phir se shām-e-firāq aa.ī ab
aañkh bhī ashk-bār lagtī hai

zaḳhm dil ke shumār kartī huuñ
har ghaḌī sogvār lagtī hai

kyā batā.ūñ ye hasti-e-mauhūm
ek musht-e-ġhubār lagtī hai

sardiyoñ kī udaas rātoñ meñ
chāñdnī bhī ġhubār lagtī hai

bad-nasībī na pūchhiye 'shāhīn'
zindagī sho.ala-bār lagtī hai

zindagi be-qarar lagti hai
dard ki aabshaar lagti hai

phir se sham-e-firaq aai ab
aankh bhi ashk-bar lagti hai

zaKHm dil ke shumar karti hun
har ghaDi sogwar lagti hai

kya bataun ye hasti-e-mauhum
ek musht-e-ghubar lagti hai

sardiyon ki udas raaton mein
chandni bhi ghubar lagti hai

bad-nasibi na puchhiye 'shahin'
zindagi shoala-bar lagti hai


Leave a comment

+