Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Banarasi

  • Ghazal


jab bhi teri yaadon ki chalne lagi purwai


jab bhī tirī yādoñ kī chalne lagī purvā.ī
har zaḳhm huā taaza har choT ubhar aa.ī

is baat pe hairāñ haiñ sāhil ke tamāshā.ī
ik TuuTī huī kashtī har mauj se Takrā.ī

maiḳhāne tak aa pahuñchī insāf kī rusvā.ī
saaqī se huī laġhzish rindoñ ne sazā paa.ī

hañgāma huā barpā ik jaam agar TuuTā
dil TuuT ga.e lākhoñ āvāz nahīñ aa.ī

ik raat basar kar leñ ārām se dīvāne
aisā bhī koī va.ada ai jān-e-shakebā.ī

kis darja sitam-gar hai ye gardish-e-daurāñ bhī
ḳhud aaj tamāshā haiñ kal the jo tamāshā.ī

kyā jāniye kyā ġham thā mil kar bhī ye aalam thā
be-ḳhvāb rahe vo bhī ham ko bhī na niiñd aa.ī

jab bhi teri yaadon ki chalne lagi purwai
har zaKHm hua taza har choT ubhar aai

is baat pe hairan hain sahil ke tamashai
ek TuTi hui kashti har mauj se Takrai

maiKHane tak aa pahunchi insaf ki ruswai
saqi se hui laghzish rindon ne saza pai

hangama hua barpa ek jam agar TuTa
dil TuT gae lakhon aawaz nahin aai

ek raat basar kar len aaram se diwane
aisa bhi koi wada ai jaan-e-shakebai

kis darja sitam-gar hai ye gardish-e-dauran bhi
KHud aaj tamasha hain kal the jo tamashai

kya jaaniye kya gham tha mil kar bhi ye aalam tha
be-KHwab rahe wo bhi hum ko bhi na nind aai


Source: Book : Kashkol (Pg. 61) Author : Tahir Faraz Publication : Isteara Publications (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+