Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahanzeb Sahir

  • Ghazal


lage hue the sabhi shor hi machane mein


lage hue the sabhī shor hī machāne meñ
jabhī to der lagī aag ko bujhāne meñ

vagarna mujh se koī kaam hī na ho paa.e
kuchh aisī barkateñ haiñ tere muskurāne meñ

ajiib saa.e sukūnat kiye hue the yahāñ
baḌā sukūn milā hai ye ghar jalāne meñ

bachā sakā na tirā ishq dukh to hai lekin
lagā huā huuñ maiñ ab naukrī bachāne meñ

jo ho sake to mire hijr meñ izāfa kar
ki mujh se der huī tujh se dil lagāne meñ

bahā ke le gayā dariyā tamām bastī ko
magar ye log rahe kashtiyāñ banāne meñ

mire makāñ ke añdheroñ ko kaun samjhā.e
ḳhushī milī jo havā ko diyā bujhāne meñ

jo naam ham ne kamāyā hai ishq meñ 'sāhir'
janāb-e-qais ko sadiyāñ lagīñ kamāne meñ

lage hue the sabhi shor hi machane mein
jabhi to der lagi aag ko bujhane mein

wagarna mujh se koi kaam hi na ho pae
kuchh aisi barkaten hain tere muskurane mein

ajib sae sukunat kiye hue the yahan
baDa sukun mila hai ye ghar jalane mein

bacha saka na tera ishq dukh to hai lekin
laga hua hun main ab naukri bachane mein

jo ho sake to mere hijr mein izafa kar
ki mujh se der hui tujh se dil lagane mein

baha ke le gaya dariya tamam basti ko
magar ye log rahe kashtiyan banane mein

mere makan ke andheron ko kaun samjhae
KHushi mili jo hawa ko diya bujhane mein

jo nam hum ne kamaya hai ishq mein 'sahir'
janab-e-qais ko sadiyan lagin kamane mein


Leave a comment

+