sochtā huuñ ki haal kyā hogā
ġham tirā dil se jab judā hogā
merā ġham sun ke aur kyā hogā
fitna-gar muskurā diyā hogā
ḳhūb-rū bevafā bahut dekhe
koī tum sā na bevafā hogā
le chalā hai dil un kī mahfil meñ
nahīñ ma.alūm hashr kyā hogā
kar bhalā.ī ko aam duniyā meñ
ki bhalā.ī kā phal bhalā hogā
fasl-e-gul kī na baat kar ai dost
josh-e-vahshat mirā sivā hogā
mā-sivā sāġhar-o-subū ke 'naresh'
aur rindoñ ke paas kyā hogā
sochta hun ki haal kya hoga
gham tera dil se jab juda hoga
mera gham sun ke aur kya hoga
fitna-gar muskura diya hoga
KHub-ru bewafa bahut dekhe
koi tum sa na bewafa hoga
le chala hai dil un ki mahfil mein
nahin malum hashr kya hoga
kar bhalai ko aam duniya mein
ki bhalai ka phal bhala hoga
fasl-e-gul ki na baat kar ai dost
josh-e-wahshat mera siwa hoga
ma-siwa saghar-o-subu ke 'naresh'
aur rindon ke pas kya hoga
Leave a comment