Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nabeel Ahmad Nabeel

  • Ghazal


hai jo bigDi hui surat meri bimari ki


hai jo bigḌī huī sūrat mirī bīmārī kī
pyaar meñ mujh se kisī shaḳhs ne ġhaddārī kī

har taraf ḳhūn-ḳharāba kiyā logoñ ne bapā
sher taḳhlīq kiye maiñ ne ġhazal jaarī kī

har-nafas siine meñ patthar kī tarah lagtā hai
zindagī mujh pe sitam-kesh ne yuuñ bhārī kī

ye alag baat ki har lahza pareshāñ maiñ huuñ
maiñ ne sachchā.ī kī is par bhī taraf-dārī kī

maiñ ne har baar haqīqat kī nazar se dekhā
us ne har baar mire saath adākārī kī

phuul kī misl mahak uTThegā qarya qarya
apne is des kī jab ham ne kamāñ-dārī kī

qāfile vāloñ ko manzil na milī barsoñ se
ye bhī ḳhūbī hai tirī qāfila-sālārī kī

zindagī apne bharose pe guzārī maiñ ne
vāris-e-taḳht ne kab merī nigah-dārī kī

is se badlegā mire shahr kā saarā manzar
lahar jo uTThī mire shahr meñ bedārī kī

rashk aatā hai hameñ apne muqaddar pe 'nabīl'
āl-e-ahmad kī sadā ham ne azā-dārī kī

hai jo bigDi hui surat meri bimari ki
pyar mein mujh se kisi shaKHs ne ghaddari ki

har taraf KHun-KHaraba kiya logon ne bapa
sher taKHliq kiye main ne ghazal jari ki

har-nafas sine mein patthar ki tarah lagta hai
zindagi mujh pe sitam-kesh ne yun bhaari ki

ye alag baat ki har lahza pareshan main hun
main ne sachchai ki is par bhi taraf-dari ki

main ne har bar haqiqat ki nazar se dekha
us ne har bar mere sath adakari ki

phul ki misl mahak uTThega qarya qarya
apne is des ki jab hum ne kaman-dari ki

qafile walon ko manzil na mili barson se
ye bhi KHubi hai teri qafila-salari ki

zindagi apne bharose pe guzari main ne
waris-e-taKHt ne kab meri nigah-dari ki

is se badlega mere shahr ka sara manzar
lahar jo uTThi mere shahr mein bedari ki

rashk aata hai hamein apne muqaddar pe 'nabil'
aal-e-ahmad ki sada hum ne aza-dari ki


Leave a comment

+