Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nahid Akhtar Balooch

  • Ghazal


kisi ki aankh Khaali ho gai thi


kisī kī aañkh ḳhālī ho ga.ī thī
mohabbat itnī mahñgī ho ga.ī thī

tujhe jaate samay itnā pukārā
mirī āvāz zaḳhmī ho ga.ī thī

zarā sā muskurā ke us ne dekhā
fazā saarī gulābī ho ga.ī thī

vo jis din rāsta badlā thā tū ne
mirī har raah khoTī ho ga.ī thī

use raajā nahīñ mil paayā to phir
vo ḳhud hī apnī raanī ho ga.ī thī

hamāre haath nīche gir ga.e the
tirī dīvār ūñchī ho ga.ī thī

adhūre ḳhvāb se pīchhā chhuḌāyā
mujhe ab niiñd pyārī ho ga.ī thī

use janmā thā maiñ ne dukh uThā ke
parā.ī kaise beTī ho ga.ī thī

tumhārī raah takte thak ga.ī jab
vo kaalī aañkh niilī ho ga.ī thī

kisi ki aankh KHali ho gai thi
mohabbat itni mahngi ho gai thi

tujhe jate samay itna pukara
meri aawaz zaKHmi ho gai thi

zara sa muskura ke us ne dekha
faza sari gulabi ho gai thi

wo jis din rasta badla tha tu ne
meri har rah khoTi ho gai thi

use raja nahin mil paya to phir
wo KHud hi apni rani ho gai thi

hamare hath niche gir gae the
teri diwar unchi ho gai thi

adhure KHwab se pichha chhuDaya
mujhe ab nind pyari ho gai thi

use janma tha main ne dukh uTha ke
parai kaise beTi ho gai thi

tumhaari rah takte thak gai jab
wo kali aankh nili ho gai thi


Leave a comment

+