Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iliyas Babar Aawan

  • Ghazal


chehre par KHush-haali le kar aata hun


chehre par ḳhush-hālī le kar aatā huuñ
tum se milne taxi le kar aatā huuñ

yuuñ karnā tum jugnū le kar aa jaanā
maiñ ik dost se kashtī le kar aatā huuñ

raste meñ ik Taapu par kuchh Thahreñge
maiñ bargar aur pepsi le kar aatā huuñ

tum chāho to vāpas jā bhī saktī ho
maiñ gaaḌī kī chābī le kar aatā huuñ

jism kī aag se kab tak kaam chalā.eñge
jañgal se kuchh lakḌī le kar aatā huuñ

maiñ jaatā huuñ to patthar se bahtā hai
jis chashme kā paanī le kar aatā huuñ

chehre par KHush-haali le kar aata hun
tum se milne taxi le kar aata hun

yun karna tum jugnu le kar aa jaana
main ek dost se kashti le kar aata hun

raste mein ek Tapu par kuchh Thahrenge
main bargar aur pepsi le kar aata hun

tum chaho to wapas ja bhi sakti ho
main gaDi ki chabi le kar aata hun

jism ki aag se kab tak kaam chalaenge
jangal se kuchh lakDi le kar aata hun

main jata hun to patthar se bahta hai
jis chashme ka pani le kar aata hun


Source: Book : Rang hava main phel raha hai (Pg. 188)

Leave a comment

+