Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahir Faraz

  • Ghazal


jo shajar be-libas rahte hain


jo shajar be-libās rahte haiñ
un ke saa.e udaas rahte haiñ

chand lamhāt kī ḳhushī ke liye
log barsoñ udaas rahte haiñ

ittifāqan jo hañs liye the kabhī
intiqāman udaas rahte haiñ

merī palkeñ haiñ aur ashk tire
peḌ dariyā ke paas rahte haiñ

un ke baare meñ sochiye 'tāhir'
jo musalsal udaas rahte haiñ

jo shajar be-libas rahte hain
un ke sae udas rahte hain

chand lamhat ki KHushi ke liye
log barson udas rahte hain

ittifaqan jo hans liye the kabhi
intiqaman udas rahte hain

meri palken hain aur ashk tere
peD dariya ke pas rahte hain

un ke bare mein sochiye 'tahir'
jo musalsal udas rahte hain


Leave a comment

+