Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Madan Mohan Danish

  • Ghazal


sitare jinki bahut dekh-bhaal karte rahe


sitāre jinkī bahut dekh-bhāl karte rahe
ham aisī saarī shaboñ ko nihāl karte rahe

hamāre rāh-numā bhī kamāl karte rahe
javāb denā thā un ko savāl karte rahe

magar nadī ne sunī hī nahīñ kināroñ kī
ye aur baat ki vo arz-e-hāl karte rahe

tamām raat mirī niiñd mujh ko Dastī rahī
tamām ḳhvāb mirī dekh-bhāl karte rahe

tamām umr tumhīñ mutma.in rahe 'dānish'
tamām umr tumhīñ the malāl karte rahe

sitare jinki bahut dekh-bhaal karte rahe
hum aisi sari shabon ko nihaal karte rahe

hamare rah-numa bhi kamal karte rahe
jawab dena tha un ko sawal karte rahe

magar nadi ne suni hi nahin kinaron ki
ye aur baat ki wo arz-e-haal karte rahe

tamam raat meri nind mujh ko Dasti rahi
tamam KHwab meri dekh-bhaal karte rahe

tamam umr tumhin mutmain rahe 'danish'
tamam umr tumhin the malal karte rahe


Source: Book : Monthly Usloob (Pg. 394) Author : Mushfiq Khawaja Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi   180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6) Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6

Leave a comment

+