Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Tabish

  • Ghazal

basti basti jangal jangal ghuma main

bastī bastī jañgal jañgal ghūmā maiñ lekin apne ghar meñ aa kar soyā maiñ
  jab bhī thakan mahsūs huī hai raste kī būḌhe-bargad ke saa.e meñ baiThā maiñ
  kyā dekhā thā āḳhir merī āñkhoñ ne chalte chalte raste meñ kyuuñ Thahrā maiñ
  jab bhī jhuk kar miltā huuñ maiñ logoñ se ho jaatā huuñ apne qad se ūñchā maiñ
  ThanDe mausam se bhī maiñ jal jaatā huuñ sūkhī bārish meñ bhī aksar bhīgā maiñ
  jab jab bachche būḌhī bāteñ karte haiñ yuuñ lagtā hai dekh rahā huuñ sapnā maiñ
  saare manzar suune suune lagte haiñ kaisī bastī meñ 'tābish' aa pahuñchā maiñ
  basti basti jangal jangal ghuma main lekin apne ghar mein aa kar soya main
  jab bhi thakan mahsus hui hai raste ki buDhe-bargad ke sae mein baiTha main
  kya dekha tha aaKHir meri aankhon ne chalte chalte raste mein kyun Thahra main
  jab bhi jhuk kar milta hun main logon se ho jata hun apne qad se uncha main
  ThanDe mausam se bhi main jal jata hun sukhi barish mein bhi aksar bhiga main
  jab jab bachche buDhi baaten karte hain yun lagta hai dekh raha hun sapna main
  sare manzar sune sune lagte hain kaisi basti mein 'tabish' aa pahuncha main
  <!-- --> "> bastī bastī jañgal jañgal ghūmā maiñ lekin apne ghar meñ aa kar soyā maiñ

  <!-- -->

Leave a comment

+