Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naqqash Ali Balooch

  • Ghazal


mera dayar shanasa-e-rang-o-nur nahin


mirā dayār shanāsā-e-rañg-o-nūr nahīñ
agarche shams-o-qamar is nagar se duur nahīñ

jamāl-o-paikar-o-andām kī ghaTā.eñ haiñ
kisī bhī dil pe tajallī-e-koh-e-tūr nahīñ

ḳhudā se ishq kī pahlī hasīñ nishānī hai
vo ik namāz ki jis meñ ḳhayāl-e-hūr nahīñ

hijāb-e-mahmil-e-lailā ko tū uThā na sakā
ki terī aañkh meñ dīdār kā shu.ūr nahīñ

nisāb-e-nāb-e-husainī mirī tamannā hai
ḳhitāb-e-vā.iz-o-darvesh meñ surūr nahīñ

kushā-e-rāz azā-e-husain kaise ho
tumhāre qalb meñ rāsiḳh mirā zabūr nahīñ

ġham-e-husain meñ rotā hai lā nahīñ kahtā
vo jis kā jism adū ke tabar se chuur nahīñ

charāġh ban ke añdherī rutoñ meñ jaltā huuñ
sivā.e is ke mirā aur kuchh qusūr nahīñ

tulū-e-nūr hai 'naqqāsh' sher-e-āgāhī
ai vā-e-baḳht isī sher ko zuhūr nahīñ

mera dayar shanasa-e-rang-o-nur nahin
agarche shams-o-qamar is nagar se dur nahin

jamal-o-paikar-o-andam ki ghaTaen hain
kisi bhi dil pe tajalli-e-koh-e-tur nahin

KHuda se ishq ki pahli hasin nishani hai
wo ek namaz ki jis mein KHayal-e-hur nahin

hijab-e-mahmil-e-laila ko tu uTha na saka
ki teri aankh mein didar ka shuur nahin

nisab-e-nab-e-husaini meri tamanna hai
KHitab-e-waiz-o-darwesh mein surur nahin

kusha-e-raaz aza-e-husain kaise ho
tumhaare qalb mein rasiKH mera zabur nahin

gham-e-husain mein rota hai la nahin kahta
wo jis ka jism adu ke tabar se chur nahin

charagh ban ke andheri ruton mein jalta hun
siwae is ke mera aur kuchh qusur nahin

tulu-e-nur hai 'naqqash' sher-e-agahi
ai wa-e-baKHt isi sher ko zuhur nahin


Source: Dewan-e-Markaz

Leave a comment

+