ik yahī ab mirā havāla hai
ruuh zaḳhmī hai jism chhālā hai
saikḌoñ baar soch kar maiñ ne
tere sāñche meñ ḳhud ko Dhālā hai
khiñchne vaalā hai āsmāñ sar se
hādisa ye bhī hone vaalā hai
ik ḳhudā-tars mauj ne mujh ko
sāhiloñ kī taraf uchhālā hai
ġhālib aa.ī havas mohabbat par
ārzūoñ kā rañg kaalā hai
ik taraf jaam āfiyat ke haiñ
ik taraf zahr kā hī pyāla hai
kār-e-duniyā kī aarzū ne 'nabīl'
mujh ko sau uljhanoñ meñ Daalā hai
ek yahi ab mera hawala hai
ruh zaKHmi hai jism chhaala hai
saikDon bar soch kar main ne
tere sanche mein KHud ko Dhaala hai
khinchne wala hai aasman sar se
hadisa ye bhi hone wala hai
ek KHuda-tars mauj ne mujh ko
sahilon ki taraf uchhaala hai
ghaalib aai hawas mohabbat par
aarzuon ka rang kala hai
ek taraf jam aafiyat ke hain
ek taraf zahr ka hi pyala hai
kar-e-duniya ki aarzu ne 'nabil'
mujh ko sau uljhanon mein Dala hai
Leave a comment