Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Kaleem

  • Ghazal


phula-phala shajar to samar par bhi aaega


phūlā-phalā shajar to samar par bhī aa.egā
lekin isī lihāz se patthar bhī aa.egā

hālāt jab bhī shahr ke filmā.e jā.eñge
parde pe mere qatl kā manzar bhī aa.egā

be-chehra phir rahā huuñ magar is yaqīñ ke saath
ā.īna mere qad ke barābar bhī aa.egā

kab tak koī chhupegā adāvat ke ġhaar meñ
dushman kabhī to sāmne khul kar bhī aa.egā

be-vaj.h ranjishoñ se diloñ ko bachā.iye
zehnoñ kā bhed-bhāv laboñ par bhī aa.egā

behtar hai dosto ki yahīñ Daal do paḌāv
aage baḌhe to shahr-e-sitamgar bhī aa.egā

ubhreñge pastiyoñ se bhī ik roz ham 'zafar'
ūñchā.iyoñ pe apnā muqaddar bhī aa.egā

phula-phala shajar to samar par bhi aaega
lekin isi lihaz se patthar bhi aaega

haalat jab bhi shahr ke filmae jaenge
parde pe mere qatl ka manzar bhi aaega

be-chehra phir raha hun magar is yaqin ke sath
aaina mere qad ke barabar bhi aaega

kab tak koi chhupega adawat ke ghaar mein
dushman kabhi to samne khul kar bhi aaega

be-wajh ranjishon se dilon ko bachaiye
zehnon ka bhed-bhaw labon par bhi aaega

behtar hai dosto ki yahin Dal do paDaw
aage baDhe to shahr-e-sitamgar bhi aaega

ubhrenge pastiyon se bhi ek roz hum 'zafar'
unchaiyon pe apna muqaddar bhi aaega


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 438) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+