Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Balbir Rathi

  • Ghazal


shahr badla hua sa lagta hai


shahr badlā huā sā lagtā hai
har koī uuprā sā lagtā hai

mujh ko aksar ḳhud apne andar hī
kuchh bhaTaktā huā sā lagtā hai

jaane kyā baat hai ki ghar mujh ko
roz girtā huā sā lagtā hai

mujh ko har shaḳhs apnī bastī kā
ḳhud se rūThā huā sā lagtā hai

dard se yuuñ najāt kab hogī
vaqt Thahrā huā sā lagtā hai

zaḳhm khaa.e hue zamāna huā
dard ab tak nayā sā lagtā hai

dāstāneñ haiñ ḳhuub sab kī magar
apnā qissa judā sā lagtā hai

shahr badla hua sa lagta hai
har koi upra sa lagta hai

mujh ko aksar KHud apne andar hi
kuchh bhaTakta hua sa lagta hai

jaane kya baat hai ki ghar mujh ko
roz girta hua sa lagta hai

mujh ko har shaKHs apni basti ka
KHud se ruTha hua sa lagta hai

dard se yun najat kab hogi
waqt Thahra hua sa lagta hai

zaKHm khae hue zamana hua
dard ab tak naya sa lagta hai

dastanen hain KHub sab ki magar
apna qissa juda sa lagta hai


Leave a comment

+