taḌaptā hai tirī furqat meñ koī niim jaañ ho kar
sitam hai pher lenā aañkh terā mehrbāñ ho kar
zabāñ-go sāmne un ke na thī muñh meñ mire goyā
ḳhamoshī kah rahī thī haal dil merā zabāñ ho kar
maiñ bāvar kar nahīñ saktā but-e-kamsin ke va.adoñ ko
ye haiñ bachpan kī bāteñ bhuul jā.egā javāñ ho kar
nahīñ do-chār tinkoñ se falak ko dushmanī lekin
use zid hai rahe kyoñ ye hamārā āshiyāñ ho kar
maze se ishq ke ġhāfil rahe donoñ ke donoñ hī
vo mashġhūl-e-jafā ho kar maiñ masrūf-e-fuġhāñ ho kar
agar mashq-e-suḳhan terī yūñhī jaarī rahī 'beḳhud'
tū rañg afroz-e-mahfil hogā tū rañgīñ bayāñ hogā
taDapta hai teri furqat mein koi nim jaan ho kar
sitam hai pher lena aankh tera mehrban ho kar
zaban-go samne un ke na thi munh mein mere goya
KHamoshi kah rahi thi haal dil mera zaban ho kar
main bawar kar nahin sakta but-e-kamsin ke wadon ko
ye hain bachpan ki baaten bhul jaega jawan ho kar
nahin do-chaar tinkon se falak ko dushmani lekin
use zid hai rahe kyon ye hamara aashiyan ho kar
maze se ishq ke ghafil rahe donon ke donon hi
wo mashghul-e-jafa ho kar main masruf-e-fughan ho kar
agar mashq-e-suKHan teri yunhi jari rahi 'beKHud'
tu rang afroz-e-mahfil hoga tu rangin bayan hoga
Source: Book : Word File Mail By Salim Saleem
Leave a comment