Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nabeel Ahmad Nabeel

  • Ghazal


teri KHwahish na jab ziyaada thi


terī ḳhvāhish na jab ziyāda thī
zindagī jaise be-libāda thī

is liye mujh ko mil ga.ī manzil
merī ḳhvāhish mirā irāda thī

ek titlī jale paroñ vaalī
bas vahī merā ḳhānvāda thī

maiñ ne dekhā hai vo nagar bhī jahāñ
raushnī kam nazar ziyāda thī

chal ke ik umr mujh pe raaz khulā
merī manzil hī merā jaada thī

jis meñ rahte the sab mohabbat se
vo havelī bhī kyā kushāda thī

duur thā is liye mahāz se maiñ
fauj merī ki pā-piyāda thī

sañg thā yā ki rāste meñ 'nabīl'
koī dīvār īstāda thī

teri KHwahish na jab ziyaada thi
zindagi jaise be-libaada thi

is liye mujh ko mil gai manzil
meri KHwahish mera irada thi

ek titli jale paron wali
bas wahi mera KHanwada thi

main ne dekha hai wo nagar bhi jahan
raushni kam nazar ziyaada thi

chal ke ek umr mujh pe raaz khula
meri manzil hi mera jada thi

jis mein rahte the sab mohabbat se
wo haweli bhi kya kushada thi

dur tha is liye mahaz se main
fauj meri ki pa-piyaada thi

sang tha ya ki raste mein 'nabil'
koi diwar istada thi


Leave a comment

+