kuchh to ta.alluq kuchh to lagāo
mere dushman hī kahlāo
dil sā khilaunā haath aayā hai
khelo toḌo jī bahlāo
kal aġhyār meñ baiThe the tum
haañ haañ koī baat banāo
kaun hai ham sā chāhne vaalā
itnā bhī ab dil na dukhāo
husn thā jab mastūr hayā meñ
ishq thā ḳhūn-e-dil kā rachāo
husn banā jab bahtī gañgā
ishq huā kāġhaz kī naav
shab bhar kitnī rāteñ guzrīñ
hazrat-e-dil ab hosh meñ aao
kuchh to talluq kuchh to lagao
mere dushman hi kahlao
dil sa khilauna hath aaya hai
khelo toDo ji bahlao
kal aghyar mein baiThe the tum
han han koi baat banao
kaun hai hum sa chahne wala
itna bhi ab dil na dukhao
husn tha jab mastur haya mein
ishq tha KHun-e-dil ka rachao
husn bana jab bahti ganga
ishq hua kaghaz ki naw
shab bhar kitni raaten guzrin
hazrat-e-dil ab hosh mein aao
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
kuchh to talluq kuchh to lagao
Nomaan Shauque
Leave a comment