Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vikas Sharma Raaz

  • Ghazal


sab ke aage nahin bikharna hai


sab ke aage nahīñ bikharnā hai
ab junūñ aur tarah karnā hai

kyā zarūrat hai itne ḳhvāboñ kī
dasht-e-shab paar hī to karnā hai

aa ga.e zindagī ke jhāñse meñ
Thaan rakkhā thā aaj marnā hai

pūchhnā chāhiye thā dariyā ko
Dūbnā hai ki paar utarnā hai

band-bājā hai thoḌī der kā bas
raat bhar kis ne raqs karnā hai

sab ke aage nahin bikharna hai
ab junun aur tarah karna hai

kya zarurat hai itne KHwabon ki
dasht-e-shab par hi to karna hai

aa gae zindagi ke jhanse mein
Than rakkha tha aaj marna hai

puchhna chahiye tha dariya ko
Dubna hai ki par utarna hai

band-baja hai thoDi der ka bas
raat bhar kis ne raqs karna hai


Source: Deewan-e-Basheer(website)

Leave a comment

+