Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baldev Raaj

  • Ghazal


har ek zarre se hai tabani-e-shams-o-qamar paida


har ik zarre se hai tābānī-e-shams-o-qamar paidā
har ik ā.īne se hai sūrat-e-ā.īna-gar paidā

zamāna band kar detā hai jis par ik dar-e-ishrat
to is ke vāste kartī hai fitrat laakh dar paidā

gadāoñ kī nazar meñ ḳhaak hai tauqīr-e-sultānī
fusūn-e-ishq kar detā hai zarroñ meñ nazar paidā

nahīñ kuchh duur ye bhī sūrmā qaumoñ kī fitrat se
shikasteñ khā ke bhī kar lete haiñ fat.h-o-zafar paidā

junūñ ko chāhiyeñ be-ḳhauf-o-ā.alī-zarf dīvāne
har ik dīvār meñ zindāñ kī ho sakte haiñ dar paidā

haqīqat meñ ḳhizāñ ta.amīr hai fasl-e-bahārī kī
ki dard-e-sar se hotī hai davā-e-dard-e-sar paidā

har ek zarre se hai tabani-e-shams-o-qamar paida
har ek aaine se hai surat-e-aina-gar paida

zamana band kar deta hai jis par ek dar-e-ishrat
to is ke waste karti hai fitrat lakh dar paida

gadaon ki nazar mein KHak hai tauqir-e-sultani
fusun-e-ishq kar deta hai zarron mein nazar paida

nahin kuchh dur ye bhi surma qaumon ki fitrat se
shikasten kha ke bhi kar lete hain fath-o-zafar paida

junun ko chahiyen be-KHauf-o-aali-zarf diwane
har ek diwar mein zindan ki ho sakte hain dar paida

haqiqat mein KHizan tamir hai fasl-e-bahaari ki
ki dard-e-sar se hoti hai dawa-e-dard-e-sar paida


Leave a comment

+