Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prakhar Malviya Kanha

  • Ghazal


kahin jine se main Darne laga to


kahīñ jiine se maiñ Darne lagā to
ajal ke vaqt hī ghabrā gayā to

ye duniyā ashk se ġham nāptī hai
agar maiñ zabt kar ke rah gayā to

ḳhushī se niiñd meñ hī chal basūñgā
vo gar ḳhvāboñ meñ hī merā huā to

ye ūñchī buildingeñ haiñ jis ke dam se
vo ḳhud fōtpath par soyā milā to

maiñ barsoñ se jo ab tak kah na paayā
laboñ tak phir vahī aa kar rukā to

qarīne se sajā kamra hai jis kā
vo ḳhud andar se gar bikhrā milā to

lakīroñ se haiñ mere haath ḳhālī
magar phir bhī jo vo mujh ko malā to

yahāñ har shaḳhs ro degā yaqīnan
ġhazal gar maiñ yūñhī kahtā rahā to

safar jaarī hai jis ke dam pe 'kānhā'
agar nārāz vo jugnū huā to

kahin jine se main Darne laga to
ajal ke waqt hi ghabra gaya to

ye duniya ashk se gham napti hai
agar main zabt kar ke rah gaya to

KHushi se nind mein hi chal basunga
wo gar KHwabon mein hi mera hua to

ye unchi buildingen hain jis ke dam se
wo KHud footpath par soya mila to

main barson se jo ab tak kah na paya
labon tak phir wahi aa kar ruka to

qarine se saja kamra hai jis ka
wo KHud andar se gar bikhra mila to

lakiron se hain mere hath KHali
magar phir bhi jo wo mujh ko mala to

yahan har shaKHs ro dega yaqinan
ghazal gar main yunhi kahta raha to

safar jari hai jis ke dam pe 'kanha'
agar naraaz wo jugnu hua to


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+