aahaT sī koī aa.e to lagtā hai ki tum ho
saaya koī lahrā.e to lagtā hai ki tum ho
jab shāḳh koī haath lagāte hī chaman meñ
sharmā.e lachak jaa.e to lagtā hai ki tum ho
sandal se mahaktī huī pur-kaif havā kā
jhoñkā koī Takrā.e to lagtā hai ki tum ho
oḌhe hue tāroñ kī chamaktī huī chādar
naddī koī bal khaa.e to lagtā hai ki tum ho
jab raat ga.e koī kiran mere barābar
chup-chāp sī so jaa.e to lagtā hai ki tum ho
aahaT si koi aae to lagta hai ki tum ho
saya koi lahrae to lagta hai ki tum ho
jab shaKH koi hath lagate hi chaman mein
sharmae lachak jae to lagta hai ki tum ho
sandal se mahakti hui pur-kaif hawa ka
jhonka koi Takrae to lagta hai ki tum ho
oDhe hue taron ki chamakti hui chadar
naddi koi bal khae to lagta hai ki tum ho
jab raat gae koi kiran mere barabar
chup-chap si so jae to lagta hai ki tum ho
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Unknown
Unknown
Bharathi Vishwanathan
Abida Parveen
Ustad Salamat Ali Khan
Bhupinder Singh
Preet Dhillon
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
aahaT si koi aae to lagta hai ki tum ho
Nomaan Shauque
Leave a comment