Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Fazli

  • Ghazal


har ek baat kisi baat par hai goya tanz


har ek baat kisī baat par hai goyā tanz
mirī zabān mirī zaat par hai goyā tanz

na vo ḳhulūs kī garmī na vālehāna-pan
kisī se milnā mulāqāt par hai goyā tanz

nigāh-e-ādam-e-ḳhākī kī vus.atoñ kā bayāñ
tamām arz-o-samāvāt par hai goyā tanz

ajiib shaḳhs hai us kī bas ek ḳhāmoshī
zamāne bhar kī ḳhurāfāt par hai goyā tanz

kisī ke haath pe bai.at na kar sakā maiñ 'nadīm'
so apnā haath mire haat par hai goyā tanz

har ek baat kisi baat par hai goya tanz
meri zaban meri zat par hai goya tanz

na wo KHulus ki garmi na walehana-pan
kisi se milna mulaqat par hai goya tanz

nigah-e-adam-e-KHaki ki wusaton ka bayan
tamam arz-o-samawat par hai goya tanz

ajib shaKHs hai us ki bas ek KHamoshi
zamane bhar ki KHurafat par hai goya tanz

kisi ke hath pe baiat na kar saka main 'nadim'
so apna hath mere hat par hai goya tanz


Source: Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish

Leave a comment

+