rāh-rau chup haiñ rāhbar ḳhāmosh
kaise guzregā ye safar ḳhāmosh
koī hañgāma-e-hayāt nahīñ
raat ḳhāmosh hai sahar ḳhāmosh
zindagī ko kahāñ talāsh kareñ
kūcha kūcha nagar nagar ḳhāmosh
bazm meñ vo ḳhamosh kyā hoñge
ho sake jo na daar par ḳhāmosh
rah-rau chup hain rahbar KHamosh
kaise guzrega ye safar KHamosh
koi hangama-e-hayat nahin
raat KHamosh hai sahar KHamosh
zindagi ko kahan talash karen
kucha kucha nagar nagar KHamosh
bazm mein wo KHamosh kya honge
ho sake jo na dar par KHamosh
Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 705) Publication : Educational Publishing House (2009) Edition : 2009
Leave a comment